DANVEER KARNA THE UNLUCKY WARRIOR STORY IN RAP | MAHABHARAT

1 year ago
107

Lyrics:

Ð¥

Dheer-veer gambhir karna tha yuddh neeti ka gyaani veer na uske jaisa koi na uske jaisa tha daani teer chalata bijli sa vo shastro ka abhyasi vaani se shastrath kare to lagta tha sanyasi aasmaan tak shor machaye Vijay Dhanush tankaar Saare teer karan ke seedhe girte jaakar saagar paar gyaan ka na hi bal ka karta tha vo tanik ghamand shan bhar me hi kar deta dushman ke an-gin khand ran-kaushal mein uske jaisa, jag mein koi nahi tha duniya ke lakho prashno ka uttar sirf wahi tha ran thal ka aabhushan tha vo dharti ka samman panno me apne itihas ke wo hai veeron ki pehchan jab Karan chala samrangan me Arjun ka tez parakhne teeron pe jab teer chale fir pandav lage tadapne krukshetra mein swad yudh ka, chakhne aur chkhane Dekho ang raaj radheya chala, ab ran kaushal dikhlane

mahaveer jab rath par chadh kar, samar bhumi mein

pandav sena par ghir aayi, bhay ki kali chhaya bhaago- bhaago pran bachao, har koi chillaya madhav ke atirikt na samjha koi karn ki maya keshav bole suno parth, tum samay na vyarth gawao vijay chahte ho toh pahle apna baan chalao duryodhan aaya hai karne maanav-ta ka mardan kintu karn ki muthhi me hai mrityu ki bhi gardankarn khada hai duryodhan ke, prati kartavya nibhane Aaj yudh bhumi mein daanveer, aaya hai karz chukane soot putra yah surya veer, ab kinchit nahi jhukega iske vijay dhanush se bano ka ab hamla nahi rukega agnikund mein gee saman wo yudh bhasam kar dega l taaz Jeet ka duryodhan ke mastak par dhar dega kauntey ne pratyancha par jyon hi baan chadhaya sher se krodhit surya putra ko apne sammukh paya

arjun bola soot putra main tere praan harunga dharm raaj ke charno me gaurav ka taaz dharunga panchali ki aankho mein ab aansu nahi rahenge aaj abhimanyu ke hatyare jeevit nahi bachenge

shaant huyi wah agni lagi thi, lakshahgrah aangan me sirf rakt se aag bujhegi, dhadhak rahi jo aankho me arjun ki baton ko sunkar fir ang raaj yeh bola maine jisko yodha samjha nikla balak bhola

Veer purush yu shabdo se logo ko nahi darate yodhdha apne paurush ka gaurav nahi girate sachche yodha shabd tyag kar shastra se baatein karte

bhujdando ke dam par hi vo duniya ka tam harte yudh bhumi mein parkha jata,ran ka kaushal sara samrangan hi tay karta hai, kaun kaal se hara lage baan par baan barsane, yudh hua tab bheeshan
ran bhoomi se dur nagar ke nar naari chillaye kurukshetra ke mahapralay se, ishwar aaj bachaye tabhi karn ke rath ka pahiya dal-dal mein tha aaya balshali ashwo ne apna pura zor lagaya lekin karan ki kismat ko kuch bhi sweekar nahi tha pahiya bahar aa na saka tha, ab tak dhansa wahin tha

dhanush rakha tab karn nihaththa, rath se neeche

arjun ne bhi baan rok kar kshatrya dharm nibhaya lekin krishna vahi khade the usi waqt vo bole arjun ke man me fir kaise rop rahe the shole

parashuraam ka diya hua abhishaap vyarth na jaye Karn ki vo bramhastra ki vidya kaise diye bhulaye

yudh bhumi mein unch nich tum arjun nahi bicharo surya putra ki chhati par ab antim baan utaro madhav ke vachno ko sunkar arjun kuch sakuchaya divya shaktiyon ko aamantrit kar gandiv uthaya shastra heen par lakshya saadh kar arjun ne shar

chhoda teer karn ko maar vijay rath ko fir aise moda mili parajay, kintu Karn ne jay ko gale lagaya RAVI KA BETA DEH TYAG KAR, RAVI MEIN PUNAH SAMAYA

dansheelta ka daani se hua aaj atirek
yudh bhumi mein unch nich tum arjun nahi bicharo surya putra ki chhati par ab antim baan utaro madhav ke vachno ko sunkar arjun kuch sakuchaya divya shaktiyon ko aamantrit kar gandiv uthaya shastra heen par lakshya saadh kar arjun ne shar chhoda

teer karn ko maar vijay rath ko fir aise moda mili parajay, kintu Karn ne jay ko gale lagaya RAVI KA BETA DEH TYAG KAR, RAVI MEIN PUNAH SAMAYA

dansheelta ka daani se hua aaj atirek deh daan kar kiya karn ne mirtyu ka abhishek gyani daani veer dhanurdhar, vida hua tha aaj dharm raaj ke sir par. aaya, kul ka raktim taaj

#RAPONKARNA #KARNARAPSONG #ABBYVIRAL

Loading comments...